Paal ke rakhe hain jo seene me ulfat unki kalam e huzoor gulzar e millat lyrics
Paal ke rakhe hain jo seene me ulfat unki
Hai khuda unka nabi unke hai jannat unki
Main bhi dekhunga madine ki woh dilkash galiyaan
Mujhpe ho jaye jo ek baar inayat unki
Hum pukaare'n jo yahan se wo wahan sunte hain
Allah Allah re kaisi hai sama'at unki
Mujhko nahla ke dafan kar do azeezo jaldi
Qabr me hone hi wali hai ziyarat unki
Ishq e Ahmed ne unhe kar diya Aala hazrat
Ban gayi rashke jina dekhiye turbat unki
Azhari peer se jalte rahe jalne wale
Phir bhi badhti hi gayi shaan se shohrat unki
Tham lo Azhari sarkar ka daman badhkar
Leke firdaus me jayegi ita'at unki
Naar e dozakh ka tu gham karta hai kyunkar Gulzar
Bakhshwa legi sare hashr shafa'at unki

Comments
Post a Comment